MEER TAQI MEER - Dil Se Shauq-E-Rukh-E-Niko Na Gaya

 


Dil Se Shauq-E-Rukh-E-Niko Na Gaya
Jhankna Takna Kabhu Na Gaya

Har Qadam Par Thi Us Ki Manzil Lek
Sar Se Sauda-E-Justaju Na Gaya

Sab Gaye Hosh-O-Sabr-O-Taab-O-Tavaan
Lekin Ai Daagh Dil Se Tu Na Gaya