JIGAR MORADABADI - Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log

 


Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log
Maahtab Aaftab Hain Ham Log

Garche Ahal-E-Sharaab Hain Ham Log
Ye Na Samajho Kharaab Hain Ham Log

Shaam Se Aa Gaye Jo Peene Par
Subah Tak Aaftab Hain Ham Log